Mohabbat Kya Hai?
Main Ne Poochha
Zindagi Se,
Jawani Se,
Suraj Se,
Phoolon Se,
Aasman Se,
Zameen Se,
Laila Se,
Majnoon Se,
Lekin Koi Sahi Jawab Na Mila
Phir…
Tareekh Mera Hath Pakar Kar Peechhay Le Gai….
Bohat Peechhay…
Raat Tareek Thi..
Taaray Bhi So Chukay Thay…
1 Azeem HASTI,
Sajday Mein Jhuki,
Num Aankhon K Sath,
Sawali Bun K,
1 He Baat Dohra Rahi Thi,
“UMMAT”
“UMMAT”
YA ALLAH
“Meri UMMAT”
“Meri UMMAT”
Tareekh Ne Mujhay Jhanjhor K Kaha:
Aye Nadaan!
Ye Hai Mohabbat !!!
Subha Baakhair Zindagi